मंगलवार, 15 मार्च 2016

Nokia Symbian Phones Me Software Kaise Dale Phoenix Software Se in Hindi>>SFTWR

Posted by   on Pinterest

Nokia Symbian Phones Me Software Kaise Dalte Hai Without Any Box Phoenix Se

Hi Dosto Humne Aapko pehale hi ye bata chuke hai ki Android phone me Software kaise dalte hai Par kuch friends hai jo Nokia phones me Software dalna chahte hai par dal nhi pate hai jinki comment humare Android Phone Me Software Kaise Dale post me Jakar Aap kudh dekh sakte hai waha par humse Nokia phone me Software kaise dalte hai iske upar ek post likhne ko humare ek friend ne kaha tha So ye post unke request par hum post kar rahe hai



Nokia Phones Me Phoenix Se Software Kaise Dale

Aapko apne Nokia Phone Me software Dalne ke liye Sabse pehale Phoenix Software ko Download karke apne pc Me install karna Padega ye labhag 102 Mb ke Aash Pass ka hoga

Phoenix Software install hone ke bad Aapko Apne phone ke liye flash file download Karni padegi 

Ex- (Nokia x 2-02 Flash file) search kare fir download karle download hone ke bad use unzip karle

Unzip karne ke bad Sabhi unzip files ko copy karle uske bad Aap Apne Pc ke C Drive ko open kare programs file me jaye Phoenix ko open kare Product ko open kare 

Ye bhi padhe:


Product folder open hone ke bad waha par ek new folder banaye or usko rename kare or use is tarah ke name se save kare Rm-694 yaha par maine apne Ram code se save kiya hai Aap apne Ram code ke name se save kar fir Ram-694 Ko open kare  yaha Aapne jo flash file unzip ki thi use past karde

Ab Aap apne Pc me phoenix Software ko open kare or humare step ko follow karte jaye


1 File par click kar
2 Open product par click kar
Sab par click karne ke bad ek new window open niche image me Aap dekh kar follow kar sakte hai


3 Yaha par maine apne Ram code ko search kiya huaa hai aap apne Ram code ko search kariye
4 Yaha aapko apne Ram code ko select karna hai
5 Yaha aapko ok ke button par click karna hai


6 Yaha par aapko flashing par click karna hai
7 Firmware Update Ko select karna hai


8 Yaha aapko apna product code chunna hai iske liye aapko yaha par click karna hai

Ye bhi padhe:



9 Yaha par aapko apna product code dikhaye dega use select kare
10 Ok par click karde


Product code ko select karne ke bad aap is tarah dikhayi dega
11 Dead Phone Usd Flashing par tik kare
12 Refurbish Par click kar 


Refurbish par click karne ke bad aapko is parkar ki window dikhaye degi Ab aapko karna ye hai ki agar aapne apne phone ko pehale se apne pc se connect kar rakha hai to se remove karde fir uski battery nikalde or sim bhi uske bad apne phone ko usb se connect kare fir apne phone me battery laga de 
13 Sab karne ke bad ok ke button par click kare

Ye bhi padhe:



14 Yaha par aap ye dekh sakte hai ki humne sab kuch karne ke bad ok par jaise hi click kiya waise he humare phone me Software padna suru ho gaya

Jaise hi Aapke phone me Software dal jayega Aapko is tarah se ek windows dikhaye degi niche image me Aap dekh sakte hai


15 Ok par click karne ke bad Aap apne phone ko pc ke usb se nikal le or apne phone ko on kare

Aapko post se related koyi bhi sawal hoto Aap humse puch sakte hai

Aapko post pasand Aayi hoto Aap humara facebook page like karna na bhule or Apne dosto ke shath share jarur kare humare new post ki update apne Email id par pane ke liye hume apne Email id par free subscribe bhi kar sakte hai Aap chahe to Aap hume Social media par bhi follow kar sakte hai jaise google plus, facebook, twitter

1 टिप्पणी:
Write टिप्पणियाँ
  1. Yaar aap ne to aaj hame khush kiya hai par kal dekhunga kya hota hai aap mere mail id me jawab do plz mera mail id hai subanaucweb2056@gmail.com please reply

    जवाब देंहटाएं