मंगलवार, 15 मार्च 2016

Google Adsense Par Apply Kab Kare in Hindi>>SFTWR

Posted by   on Pinterest

Google Adsense Par Kise Bhi New Blogger Ko Kab Apply Karna Chahiye

Hello friends bhut se log mujhse ye sawal karte hai ki Adsense ke liye apply kab karna chahiye hum aapko is post me kuch aise tips batayege jinhe follow karne ke bad aap adsense ke liye apply kar sakte hai


Google Adsense kya hai or isse income kaise hoti hai

Google adsense ek ads network hai jo google ki hi ek service hai or bilkul free bhi is me hum apna Account banakar apne blog (website) me ads lagate hai or jab koyi un ads par click karta hai to blogger ko uske paise milte hai

Ye bhi Padhe:


Google Adsense Ke Kuch Niyam Or Sarte

Google par apply karne se pehale blogger ko ye janlena jaruri hai hai uska Account abhi Adsense ke liye taiyar hai ya nhi Or Adsense ki sabhi Google adsense policy ko follow karta hai ki nhi Google webmaster guideline ko follow karta hai ki nhi ye bhut hi jaruri jankari hai un sabhi new blogger ke liye ki kiya hum in sab ka palan karte hai ki nhi ye sab janne ke liye aapko google adsense ki policy or webmaster guideline ko padhna chahiye

Google Adsense Par Apply karne se kiya hota hai

Jab aap apne blog ya website ke liye Google Adsense ke liye apply karte to bo aapke blog (website) ko review karke dekhte hai or aapko apne blog (website) par ads lagane ke liye kehte hai jab tak aap ads nhi lagalete apne blog ya website par jabtak aapka Account approved ya desapproved nhi hota hai kiyo ki unko pata hi nhi chal pata ki apne ads kis parkar se lagaye hai or kiya ye blog aapka hi hai ya nhi aap google adsense ki policy ko follow kar rahe hai ya nhi us ke liye aapko apne blog par ads lagane hote hai 

Google Adsense Par Apply Kab Karna Chahiye

Hum aapko kuch tips batate hai jinhe follow karne ke bad aapko adsense ke liye apply karna chahiye

1 Appke blog par jo bhi traffic Aate hai bo sabse jayda google search engien se Aane chahiye

2 Aapka blog pe koyi bhi copyrighted matairiyal nhi hona chahiye

3 Aapke blog par sabhi jaruri pages hone chahiye 

4 Aapka blog fast kulna chahiye mobile or pc dono par

5 Aapke blog par lable lage hone chahiye

6 Aapka blog 6 month old (6 mahine purana) hona chaiye INDIA or china ke hishab se

7 Aapke blog ka desing bahut hi accha hona chahiye seo ready

8 Aapke blog ka bounce rate accha hona bhi jaruri hai bounce rate jitna kam hota hai utna hi accha hota hai

9 Aapka blog par kam se kam 50 se 100 posts honi chahiye jisse aapko accha traffic mil sake

10 Koyi bhi post likhte samay google webmaster ki guideline ka paln jarur kare 

Ye bhi padhe:


Aisha Bilkul Bhi Na Kare

Kayi baar hota ye hai ki blogger jayda se jayda post likte samay ye dhayan nhi deta ki use kaise likhna chahiye or kitne sabdo me short post bilkul bhi nhi likhe jayda se jayda lambi post likhne ki kosis kare ye nhi ki kuch bhi ulta sidha likh de post se related hi likhe kam se kam 600 se 700  words hone hi chahiye or ye koyi jaruri nhi ki aapke blog par image honi chahiye kam se kam aapko ek image to post me lagani hi chahiye 

Jab aapko lage ki hum in sab bato ka dhayan rakh rahe hai to aap google adsense ke liye apply kar sakte hai 

Aapko post se related koyi bhi sawal hoto aap humse puch sakte hai


Appko post pasand Aayi hoto aap humara facebook page like karna na bhule or apne dosto ke shath share jarur kare post ki free up date apne Email par pane ke liye aap hume Email par free subscribe bhi kar sakte hai aap chahe to aap hume google plus, twitter, facebook par bhi follow kar sakte hai

1 टिप्पणी:
Write टिप्पणियाँ