मंगलवार, 15 मार्च 2016

Bad Sector Ko Kaise Repair Karte Hai Hiren's Bootable CD Se in Hindi>>SFTWR

Posted by   on Pinterest

Bad Sector Ko Kaise Repair Karte Hai Hiren's Bootable CD se Puri Jankari Hindi Me

Hello dosto pichali post me humne ye bataya tha ki kaise bad sector ko Aap  apne Computer me Aane se Rok sakte hai yaha maine apne pichali post ki link de hai aap chahe to bad sector ki puri jankari humari pichali post se aapko mil jayegi Bad Sector Ko kaise Thik (Repair) karte hai Computer Me in Hindi waha par kewal Aap un drive ko rok sakte the jisme windows na padi ho par yaha par me aapko batane wala hu ki agar Aapke Computer me bad sector Aagaya hai to kaise isko solve karte hai yani repair




Hiren's Bootable CD Ka Use Karke Kaise Bad Sector Ko Repair Karte Hai

Aapko Apne Hard Disk ke bad sector ko Repair karne ke liye sabse pehale to aapko ek hiren's bootable cd ki jarurat hogi agar aapke pass iski cd nhi hai to aap net se download kar sakte hai fir aap use kisi blank cd me burn karle yani bootable cd banale jab aapke pass ye hoto aap ye post padh kar apne pc ka bad sector repair kar sakte hai Aaeye jante hai kaise 

Ye bhi padhe:


Aapke Pass agar hiren's bootable ki cd hai to use apne pc ke dvd/cd drive me dale jaise aap windows ki cd dalte hai fir any key press kare yani koyi bhu button dabaye


1 Yaha par aapko DOS PROGRAMS par click karna hai


2 Isme aapko Hard disk tool... Par click karna hai


3 Yaha par aapko HDAT 4.53 (test/Repair Bad Sector) Par click kana hai


4 Yaha par aapko VBOX HARDDISK Par click karna hai aapke hard disk ka name alg bhi ho sakta hai


5 Yaha par aapko DRIVE LEVEL TESTS MENU Par click karna hai


6 Yaha aapko CHECK AND REPAIR BAD SECTORS par click karna hai uske bad aap dekhege ki aapke hard disk ka bad sector repair hona chalu ho jayega aap humari image me bhi niche dekh sakte hai

Ye bhi padhe:



Note: Bad Sector ko Repair karne se pehale aap apne data ka backup jarur lele agar aap kisi bhi hard ka bad sector repair kar rahe hai jisme window padi hai or aapka data bhi hai to aap sabse pehale apne data ka backup lena na bhule ya par maine ek bad sector ki hard disk ka use kiya hai jisme nahi windows hai or hi mera koyi data agar aapko koyi data ya or kuch lose hoto isme meri koyi jimedari nhi hogi

Ye bhi padhe:


Aapko humari post se related koyi bhi sawal hoto aap humse puch sakte hai

Aapko post pasand Aayi hoto aap humara facebook page like karna na bhule or is post ko apne dosto ke shath share jarur kare humare new post ki up date apne Email Id par free pane ke liye hume Apne Emai par free subscribe kare aap chahe to aap hume social media par bhi follow kar sakte hai jaise facebook, google plus, twitter

1 टिप्पणी:
Write टिप्पणियाँ